Kya bataaun kaisa khud ko dar-ba-dar main ne kiya,
Umr bhar kis kis ke hisse ka safar main ne kiya...
Tu to nafrat bhi na kar payega is shiddat ke saath,
Jis bala ka pyaar tujh se be-khabar main ne kiya...
Kaise bachchon ko bataaun raaston ke pech-o-kham,
Zindagi-bhar to kitaabon ka safar main ne kiya...
Kis ko fursat thi ke batlata tujhe itni si baat,
Khud se kya bartaaw tujh se chhoot kar main ne kiya...
Chand jazbaati se rishton ke bachane ko 'Waseem'
Kaisa kaisa jabr apne aap par main ne kiya.!!
"Waseem Barelwi"
No comments:
Post a Comment