Monday, July 2, 2018

Kuchh Itna Khauf Ka Maara Hua Bhi Pyaar Na Ho

Kuchh itna khauf ka maara hua bhi pyaar na ho,
Wo aitibaar dilaye aur aitibaar na ho...

Hawa khilaaf ho maujon pe ikhtiyaar na ho,
Ye kaisi zid hai ke dariya kisi se paar na ho...

Main gaanw laut raha hun bahut dinon ke baad,
Khuda kare ke use mera intizaar na ho...

Zara si baat pe ghut ghut ke subah kar dena,
Meri tarah bhi koi mera ghum-gusaar na ho...

Dukhi samaaj mein aansu bhare zamane mein,
Use ye kaun bataye ke ashk-baar na ho...

Gunahgaaron pe ungli uthaye dete ho,
'Waseem' aaj kahin tum bhi sangsaar na ho.!!

"Waseem Barelwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...