Monday, July 2, 2018

Khushi Ka Saath Mila Bhi To Dil Pe Baar Raha

Khushi ka saath mila bhi to dil pe baar raha,
Main aap apni tabahi ka zimmedaar raha...

Adhoore khwab gaye din ajaan andeshe,
Meri hayat pe kis kis ka ikhtiyaar raha...

Jo sab pe bojh tha ek shaam jab nahin lauta,
Usi parinde ka shaakhon ko intizaar raha...

Wo koi aur hi jazba tha sirf pyaar na tha,
Tujhe jo apna jatane ko be-qaraar raha...

Na jaane kis ka ta'alluq tha mere saath 'Waseem'
Koi bhi door hua mujh ko saazgaar raha.!!

"Waseem Barelwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...