* Nazm *
__________
Nigaar-e-shaam-e-ghum main tujh se rukhsat hone aaya hun...
Gale mil le ke yoon milne ki naubat phir na aayegi,
Sar-e-raah jo hum donon kahin mil bhi gaye to kya...
Ye lamhe phir na lautenge ye saa'at phir na aayegi,
Jaras ki naghmagi aawaz-e-maatam hoti jaati hai...
Ghazab ki teergi hai raasta dekha nahin jaata,
Ye maujon ka talatum ye bhare dariya ki tughyaani...
Zara si der mein ye dhadkanein bhi doob jayengi,
Meri aaankhon tak aa pahuncha hai ab bahta hua paani...
Teri aawaz maddham aur maddham hoti jaati hai.!!
"Mustafa Zaidi"
No comments:
Post a Comment