Umr ki saari thakan laad ke ghar jaata hun..
Raat bistar pe main sota nahin mar jaata hun.!
Aksar auqaat bhare shahr ke sannaate mein..
Is qadar zor se hansta hun ke darr jaata hun.!
Mujh se poochhe to sahi aaina-khana mera..
Khaal-o-khad le ke main humrah kidhar jaata hun.!
Dil thehar jaata hai bhooli hui manzil mein kahin..
Main kisi doosre raste se guzar jaata hun.!
Sahma rahta hun bahut halqa-e-ahbaab mein main..
Chaar deewar mein aate hi bikhar jaata hun.!
Mere aane ki khabar sirf diya rakhta hai..
Main hawaon ki tarah ho ke guzar jaata hun.!
Main ne jo apne khilaaf aap gawahi di hai..
Wo tere haq mein nahin hai to mukar jaata hun.!!
"Anjum Saleemi"
No comments:
Post a Comment