Monday, July 16, 2018

Jism Damakta, Zulf Ghaneri, Rangeen Lab, Aankhein Jaadu

Jism damakta, zulf ghaneri, rangeen lab, aankhein jaadu,

Sang-e-marmar, uuda baadal, surkh shafaq, hairaan aahu...

Bhikshu-daani, pyasa paani, dariya saagar, jal gaagar,

Gulshan khushbu, koyal kuku, masti daaru, main aur tu...

Baanbi naagin, chhaya aangan, ghunghru chhan-chhan, aasha man,

Aankhein kaajal, parbat baadal, wo zulfein aur ye baazu...

Raatein mahki, saansein dahki, nazrein bahki, rut lahki,

Sapn salona, prem khilauna, phool bichhauna, wo pahlu...

Tum se doori, ye majboori, zakhm-e-kaari, bedaari,

Tanha raatein, sapne kaatein, khud se baatein, meri khu.!!

"Jawed Akhtar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...