Jeena mushkil hai ke aasan, zara dekh to lo,
Log lagte hain pareshaan, zara dekh to lo..
Phir muqarrir koi sargarm sar-e-mimbar hai,
Kis ke hai qatl ka samaan, zara dekh to lo..
Ye naya shahar to hai khoob basaya tum ne,
Kyun purana hua veeraan, zara dekh to lo..
In charaghon ke tale aise andhere kyun hai,
Tum bhi rah jaoge hairaan, zara dekh to lo..
Tum ye kahte ho ke main ghair hun phir bhi shayad,
Nikal aaye koi pahchan, zara dekh to lo..
Ye sataaish ki tamanna ye sile ki parwah,
Kahaan laaye hain ye armaan, zara dekh to lo.!!
"Jawed Akhtar"
No comments:
Post a Comment