Hum apne aap ko ek mas'ala bana na sake,
Isi liye to kisi ki nazar mein aa na sake...
Hum aansuon ki tarah waaste nibha na sake,
Rahe jin aankhon mein un mein hi ghar bana na sake...
Phir aandhiyon ne sikhaya wahaan safar ka hunar,
Jahaan charaagh humein raasta dikha na sake...
Jo pesh pesh the basti bachane waalon mein,
Lagi jab aag to apna bhi ghar bacha na sake...
Mere khuda kisi aisi jagah use rakhna,
Jahaan koi mere baare mein kuchh bata na sake...
Tamaam umr ki koshish ka bas yahi haasil,
Kisi ko apne mutabiq koi bana na sake...
Tasalliyon pe bahut din jiya nahin jaata,
Kuchh aisa ho ke tera aitibar aa na sake.!!
"Waseem Barelwi"
No comments:
Post a Comment