Monday, July 2, 2018

Jahaan Dariya Kahin Apne Kinare Chhod Deta Hai

Jahaan dariya kahin apne kinare chhod deta hai,
Koi uthta hai aur tufaan ka rukh mod deta hai...

Mujhe be-dast-o-pa kar ke bhi khauf us ka nahin jaata,
Kahin bhi haadsa guzre wo mujh se jod deta hai...

Bichhad ke tujh se kuchh jaana agar to is qadar jaana,
Wo mitti hun jise dariya kinare chhod deta hai...

Mohabbat mein zara si bewafaai to zaroori hai,
Wahi achchha bhi lagta hai jo waade tod deta hai.!!

"Waseem Barelwi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...