Apne humrah khud chala karna..
Kaun aayega mat ruka karna.!
Khud ko pahchanne ki koshish mein..
Der tak aaina taka karna.!
Rukh agar bastiyon ki jaanib hai..
Har taraf dekh kar chala karna.!
Wo payambar tha bhool jaata tha..
Sirf apne liye dua karna.!
Yaar kya zindagi hai suraj ki..
Subah se shaam tak jala karna.!
Kuchh to apni khabar mile mujh ko..
Mere baare mein kuchh kaha karna.!
Main tumhein aazmaunga ab ke..
Tum mohabbat ki intiha karna.!
Us ne sach bol kar bhi dekha hai..
Jis ki aadat hai chup raha karna.!!
"Ameer Qazalbash"
No comments:
Post a Comment