Agar masjid se waaiz aa rahe hain,
Qadam kyun dagmagaye ja rahe hain..
Kisi ki bewafaai ka gila tha,
Na jaane aap kyun sharma rahe hain..
Ye deewana kisi ki kya sunega,
Ye deewane kise samjha rahe hain..
Manane ke liye jashn-e-bahaara'n,
Nasheman bhi jalaye ja rahe hain..
'Ameer' un ko hai fikr-e-chashm-e-nam bhi,
Wo daaman bhi bachaye ja rahe hain.!!
"Ameer Qazalbash"
No comments:
Post a Comment