Aate aate mera naam sa rah gaya,
Us ke honthon pe kuchh kaanpta rah gaya...
Raat mujrim thi daaman bacha le gayi,
Din gawaahon ki saf mein khada rah gaya...
Wo mere saamne hi gaya aur main,
Raaste ki tarah dekhta rah gaya...
Jhooth waale kahin se kahin badh gaye,
Aur main tha ke sach bolta rah gaya...
Aandhiyon ke irade to achchhe na hai,
Ye diya kaise jalta hua rah gaya...
Us ko kaandhon pe le ja rahe hain 'Waseem',
Aur wo jeene ka haq maangta rah gaya.!!
"Waseem Barelwi"
No comments:
Post a Comment