Ai khuda ret ke sahra ko samandar kar de,
Ya chhalakti hui aankhon ko bhi patthar kar de...
Tujh ko dekha nahin mahsoos kiya hai main ne,
Aa kisi din mere ahsaas ko paikar kar de...
Qaid hone se rahin neend ki chanchal pariyaan,
Chaahe jitna bhi ghilaafon ko moattar kar de...
Dil lubhate hue khwaabon se kahin behtar hai,
Ek aansu ki jo aankhon ko munawwar kar de...
Aur kuchh bhi mujhe darkaar nahin hai lekin,
Meri chaadar mere pairo'n ke barabar kar de.!!
"Shahid Meer"
No comments:
Post a Comment