Andhera zehn ka samt-e-safar jab khone lagta hai,
Kisi ka dhyan aata hai ujala hone lagta hai...
Wo jitni door ho utna hi mera hone lagta hai,
Magar jab paas aata hai to mujh se khone lagta hai...
Kisi ne rakh diye mamta bhare do haath kya sar par,
Mere andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai...
Mohabbat chaar din ki aur udaasi zindagi bhar ki,
Yahi sab dekhta hai aur 'Kabira' rone lagta hai...
Samajhte hi nahin nadaan kayi din ki hai milkiyat,
Paraye kheto'n pe apnon mein jhagda hone lagta hai...
Ye dil bach kar zamane bhar se chalna chaahe hai lekin,
Jab apni rah chalta hai akela hone lagta hai.!!
"Waseem Barelwi"
No comments:
Post a Comment