Thursday, June 21, 2018

Zameen Pe Chal Na Saka Aasman Se Bhi Gaya

Zameen pe chal na saka aasman se bhi gaya,
Kata ke par ko parinda udaan se bhi gaya..

Kisi ke haath se nikla hua wo teer hun jo,
Hadaf ko chhu na saka aur kamaan se bhi gaya..

Bhula diya to bhulane ki intiha kar di,
Wo shakhs ab mere wahm o gumaan se bhi gaya..

Tabah kar gayi pakke makaan ki khwahish,
Main apne gaanw ke kachche makaan se bhi gaya..

Paraai aag mein kooda to kya mila 'Shahid',
Use bacha na saka apni jaan se bhi gaya.!!

"Shahid Kabeer"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...