Thursday, June 21, 2018

Thukrao Ab Ke Pyaar Karo, Main Nashe Mein Hun

Thukrao ab ke pyaar karo, main nashe mein hun,
Jo chaaho mere yaar karo, main nashe mein hun..

Ab bhi dila raha hun yaqeen-e-wafa magar,
Mera na aitibaar karo, main nashe mein hun..

Ab tum ko ikhtiyar hai ai ahl-e-karwaan,
Jo rah ikhtiyaar karo, main nashe mein hun..

Girne do tum mujhe mera saaghar sambhaal lo,
Itna to mere yaar karo, main nashe mein hun..

Apni jise nahin use 'Shahid' ki kya khabar,
Tum us ka intizaar karo, main nashe mein hun.!!

"Shahid Kabeer"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...