Sunday, June 3, 2018

Ye Ek Ahd-e-saza Hai

* Nazm *
__________

Ye ek ahd-e-saza hai jaza ki baat na kar,
Dua se haath utha rakh, dawa ki baat na kar..

Khuda ke naam pe zalim nahin ye zulm rawa,
Mujhe jo chaahe saza de khuda ki baat na kar..

Hayat ab to inhin mahbaso'n mein guzregi,
Sitamgaro'n se koi iltija ki baat na kar..

Unhi ke haath mein patthar hain jin ko pyaar kiya,
Ye dekh hashr humara wafa ki baat na kar..

Abhi to paai hai main ne rihaai rahzan se, 
Bhatak na jaaun main phir rahnuma ki baat na kar..

Bujha diya hai hawa ne har ek daya ka diya,
Na dhundh ahl-e-karam ko daya ki baat na kar..

Nuzool-e-habs hua hai falak se ai 'Jalib',
Ghuta ghuta hi sahi dam, ghata ki baat na kar.!!

"Habeeb Jalib"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...