Yaas ki badli yoon dil par chha gayi,
Zindagi se zindagi ukta gayi..
Ranj-o-ghum to pahle hi kuchh kam na the,
Yaad teri kyun humein tadpa gayi..
Aap ne to jhootha waada kar diya,
Jaan mutthi mein humari aa gayi..
Zindagi ye dekh kar us ke sitam,
Maut bhi insaan se ghabra gayi..
Dekh kar is daur ki ayyaariyan,
Kaanp utha dil nazar tharra gayi..
Sar uthaya jab ta'assub ne 'Shafaq',
Aadamiyat ki tabaahi aa gayi.!!
"Gopal Krishna Shafaq"
No comments:
Post a Comment