Yaadon ka hisaab rakh raha hun,
Seene mein azaab rakh raha hun..
Tum kuchh kahe jao kya kahun main,
Bas dil mein jawaab rakh raha hun..
Daaman mein kiye hain jama girdaab,
Jebo'n mein habaab rakh raha hun..
Aayega wo nakhwati so main bhi,
Kamre ko kharaab rakh raha hun..
Tum par main sahifa-ha-e-kohna,
Ek taaza kitaab rakh raha hun.!!
"Jaun Eliya"
__________
Nakhwati = savage, brutal,
Sahifa-ha-e-kohna = ancient religious books,
No comments:
Post a Comment