* Nazm *
__________
Wo jo shaair tha, chup sa rahta tha,
Bahki bahki si baatein karta tha,
Aankhein kaano'n pe rakh ke sunta tha,
Gungi khamoshiyon ki aawazein,
Jama karta tha chaand ke saaye,
Geeli geeli si noor ki boondein,
Ok mein bhar ke khadkhadata tha,
Rookhe rookhe se raat ke patte,
Waqt ke is ghanere jangal mein,
Kachche pakke se lamhe chunta tha,
Haan, wahi, wo ajeeb sa shaair,
Raat ko uth ke kohniyon ke bal,
Chaand ki thhodi chooma karta hai,
Chaand se gir ke mar gaya hai wo,
Log kahte hain khudkushi ki hai.!!
"Gulzaar"
No comments:
Post a Comment