Friday, June 1, 2018

Dard

Sarsarahat hai,
Na aahat hai..

Na halchal,
Na chubhan..

Dard chup chaap
Kisi dheemi nadi ki surat,

Saans leti hui,
Gaanthon mein,
Utar aaya hai..

Kitne barson ki
Riyazat se,

Hunar-mandi se,

Aise bikhre hue
Resho'n ko sameta hai magar,

Aur har baar
Har ek baar,

Bahut jatno'n se,

Jism ko jaan se
Joda hai magar,

Be-sabab saans ki kat ti dori,

Kab se thaame hue
Baithe hain magar,

Aaj nahin,

Ya kahin dard thame,
Aur sakoon mil jaaye,

Ya koi gaanth khule,
Aur qaraar aa jaaye.!! 

"Gulnaaz Kausar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...