* Nazm *
__________
Apni marzi se to mazhab bhi nahin us ne chuna tha,
Us ka mazhab tha jo maa baap se hi us ne wirasat mein liya tha,
Apne maa baap chune koi ye mumkin hi kahaan hai?
Us pe ye mulk bhi laazim tha ke maa baap ka ghar tha is mein,
Ye watan us ka chunaaw to nahin tha,
Wo to kal nau hi baras ka tha, use kyun chun kar,
Firqa-warana fasadaat ne kal qatl kiya.!!
"Gulzaar"
No comments:
Post a Comment