Sunday, June 3, 2018

Wo Dekhne Mujhe Aana To Chahta Hoga

Wo dekhne mujhe aana to chahta hoga,
Magar zamane ki baaton se darr gaya hoga..

Use tha shauq bahut mujh ko achchha rakhne ka,
Ye shauq auron ko shayad bura laga hoga..

Kabhi na had-e-adab se badhe the deeda o dil,
Wo mujh se kis liye kisi baat par khafa hoga..

Mujhe gumaan hai ye bhi yaqeen ki had tak,
Kisi se bhi na wo meri tarah mila hoga..

Kabhi kabhi to sitaron ki chhaanw mein wo bhi,
Mere khyaal mein kuchh der jaagta hoga..

Wo us ka saada o masoom walehana-pan,
Kisi bhi jug mein koi dewta bhi kya hoga.. 

Nahin wo aaya to 'Jalib' gila na kar us ka,
Na jaane kya use darpesh mas'ala hoga.!!

"Habeeb Jalib"
___________

Walehana-pan = affection,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...