Sunday, June 3, 2018

Wahi Haalaat Hain Faqeeron Ke

Wahi haalaat hain faqeeron ke,
Din phire hain faqat wazeeron ke..

Apna halqa hai halqa-e-zanjeer,
Aur halqe hain sab ameeron ke..

Har bilawal hai des ka maqrooz,
Paanw nange hain benazeeron ke..

Wahi ahl-e-wafa ki surat-e-haal,
Waare nyaare hain be-zameeron ke..

Saazishein hain wahi khilaaf-e-awaam,
Mashware hain wahi musheeron ke..

Bediyaan samraaj ki hain wahi,
Wahi din-raat hain aseeron ke.!!

"Habeeb Jalib"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...