Sunday, July 1, 2018

Us Taraf Se Koi Tufaan Hawa Le Ke Chali

Us taraf se koi tufaan hawa le ke chali,
Aur idhar main bhi hatheli pe diya le ke chali...

Mujh ko ye dar-ba-dari tu ne hi bakhshi hai magar,
Jab chali ghar se to main naam tera le ke chali...

Haadse raah mein the aur safar zaalim tha,
Chand masoom labo'n se main dua le ke chali...

Maal agar le ke sabhi aaye teri mahfil mein,
Mere aanchal mein wafa thi main wafa le ke chali...

Sab jahaan haath pasaare hue aaye 'Nikhat',
Aise bazaar mein main apni ana le ke chali.!!

"Naseem Nikhat"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...