Raat ko shama ki maanind pighal kar dekho,
Zindagi kya hai kisi taaq mein jal kar dekho...
Apne chehre ko badalna to bahut mushkil hai,
Dil bahal jayega aaina badal kar dekho...
Rang bikhrenge to fariyaad karegi khushbu,
Tum kisi phool ko chutki se masal kar dekho.!!
"Naseem Nikhat"
No comments:
Post a Comment