Us ne aawara-mizaaji ko naya mod diya,
Pa-ba-zanjeer kiya aur mujhe chhod diya..
Us ne aanchal se nikaali meri gum-gashta bayaaz,
Aur chupke se mohabbat ka waraq mod diya..
Jaane waale ne hamesha ki judaai de kar,
Dil ko aankhon mein dhadakne ke liye chhod diya..
Hum ko maloom tha anjaam-e-mohabbat hum ne,
Aakhiri harf se pahle hi qalam tod diya.!!
"Jawed Saba"
__________
Bayaaz = a notebook, an account, book, a note-book in which a poet writes his verses,
No comments:
Post a Comment