Umr guzregi imtihaan mein kya,
Daagh hi denge mujh ko daan mein kya..
Meri har baat be-asar hi rahi,
Naqs hai kuchh mere bayaan mein kya..
Mujh ko to koi tokta bhi nahin,
Yahi hota hai khandaan mein kya..
Apni mahrumiyan chhupate hain,
Hum ghareebon ki aan-ban mein kya..
Khud ko jaana juda zamane se,
Aa gaya tha mere gumaan mein kya..
Shaam hi se dukaan-e-deed hai band,
Nahin nuqsaan tak dukaan mein kya..
Ai mere subah-o-shaam-e-dil ki shafaq,
Tu nahaati hai ab bhi baan mein kya..
Bolte kyun nahin mere haq mein,
Aable pad gaye zabaan mein kya..
Khamoshi kah rahi hai kaan mein kya,
Aa raha hai mere gumaan mein kya..
Dil ke aate hain jis ko dhyaan bahut,
Khud bhi aata hai apne dhyaan mein kya..
Wo mile to ye poichhna hai mujhe,
Ab bhi hun main teri amaan mein kya..
Yoon jo takta hai aasman ko tu,
Koi rahta hai aasman mein kya..
Hai naseem-e-bahaar gard-aalood,
Khaak udti hai us makaan mein kya..
Ye mujhe chain kyun nahin padta,
Ek hi shakhs tha jahaan mein kya.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment