Us ke pahlu se lag ke chalte hain,
Hum kahin taalne se talte hain..
Band hai may-kadon ke darwaze,
Hum to bas yunhi chal nikalte hain..
Main usi tarah to bahalta hun,
Aur sab jis tarah bahalte hain..
Wo hai jaan ab har ek mahfil ki,
Hum bhi ab ghar se kam nikalte hain..
Kya takalluf karein ye kahne mein,
Jo bhi khush hai hum us se jalte hain..
Hai use doir ka safar dar-pesh,
Hum sambhaale nahin sambhalte hain..
Shaam furqat ki lahlha uthi,
Wo hawa hai ke zakhm bharte hain..
Hai ajab faisle ka sahra bhi,
Chal na padiye to paanw jalte hain..
Ho raha hun main kis tarah barbaad,
Dekhne waale haath malte hain..
Tum bano rang tum bano khushbu,
Hum to apne sukhan mein dhhalte hain.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment