* Nazm *
__________
Ye kah raha hai dil-e-be-qaraar, tez chalo,
Bahut udaas hain zanjeer o daarz tez chalo..
Jo thak gaye hain unhein gard-e-raah rahne do,
Kisi ka ab na karo intizaar, tez chalo..
Khizaa'n ki shaam kahaan tak rahegi saaya-fagan,
Bahut qareeb hai subah-e-bahaar, tez chalo..
Tumhi se khauf-zada hain zameen o zar waale,
Tumhi ho chashm-e-sitam-gar pe baar, tez chalo..
Karo khuloos o mohabbat ko rahnuma apna,
Nahin durust dilon mein ghubaar, tez chalo..
Bahut hain hum mein yahaan log guftugu-pesha,
Hai un ka sirf yahi karobaar, tez chalo..
Khirad ki sust-rawi se kise mili manzil,
Junoon hi ab to karo ikhtiyaar, tez chalo.!!
"Habeeb Jalib"
No comments:
Post a Comment