Ai nizaam-e-kohan ke farzando..
Ai shab-e-taar ke jigar-bando..
Ye shab-e-taar jawedaa'n to nahin,
Ye shab-e-taar jaane waali hai..
Ta-ba-kai teergi ke afsaane,
Subah-e-nau muskurane waali hai..
Ai shab-e-taar ke jigar-gosho..
Ai sahar-dushmano sitam-gosho..
Subah ka aaftaab chamkega,
Toot jaayega jahl ka jaadu..
Phail jaayegi in dayaaron mein,
ilm-o-daanish ki raushni har-su..
Ai shab-e-taar ke nigahbaano..
Shama-e-ahd-e-ziyaa'n ke parwaano..
Shahar-e-zulmaat ke sana-khwano..
Shahar-e-zulmaat ko sabaat nahin,
Aur kuchh der subah par hans lo..
Aur kuchh der koi baat nahin.!!
"Habeeb Jalib"
__________
Nizaam-e-kohan = old system,
Jawedaa'n = eternal, everlasting, perpetual,
Ta-ba-kai = upto, कब तक,
Jigar-gosho = dears or beloveds, darlings,
Sitam-gosho = opressors,
Shama-e-ahd-e-ziyaa'n = lamp of age of loss,
Sana-khwano = praise-reciters/those who praise,
Sabaat = stability, durability,
No comments:
Post a Comment