Thursday, June 14, 2018

Tang Aaghosh Mein Aabaad Karunga Tujh Ko

Tang aaghosh mein aabaad karunga tujh ko,
Hun bahut shaad ke nashaad karunga tujh ko..

Fikr-e-ijaad mein gum hun mujhe ghaafil na samajh,
Apne andaaz par ijaad karunga tujh ko..

Nashsha hai raah ki doori ka ke humrah hai tu,
Jaane kis shahar mein aabaad karunga tujh ko..

Meri baanhon mein bahakne ki saza bhi sun le,
Ab bahut der mein aazaad karunga tujh ko..

Main ke rahta hun ba-sad-naaz gurezaa'n tujh se,
Tu na hoga to bahut yaad karunga tujh ko.!!

"Jaun Eliya"
__________

Fikr-e-ijaad = thought of innovation; invention,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...