Theek hai khud ko hum badalte hain,
Shukriya mashwarat ka chalte hain..
Ho raha hun main kis tarah barbaad,
Dekhne waale haath malte hain..
Hai wo jaan ab har ek mahfil ki,
Hum bhi ab ghar se kam nikalte hain..
Kya takalluf karein ye kahne mein,
Jo bhi khush hai hum us se jalte hain..
Hai use doir ka safar dar-pesh,
Hum sambhaale nahin sambhalte hain..
Tum bano rang tum bano khushbu,
Hum to apne sukhan mein dhhalte hain..
Main usi tarah to bahalta hun,
Aur sab jis tarah bahalte hain..
Hai ajab faisle ka sahra bhi,
Chal na padiye to paanw jalte hain.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment