Shauq ka baar utaar aaya hun,
Aaj main us ko haar aaya hun..
Uff mera aaj may-kade aana,
Yoin to main kitni baar aaya hun..
Dosto dost ko sambhaala do,
Doir se pa-figaar aaya hun..
Saf-e-aakhir se lad raha tha main,
Aur yahaan lash-waar aaya hun..
Wahi dasht-e-azaab-e-mayoosi,
Wahin anjaam-kaar aaya hun.!!
"Jaun Eliya"
__________
Anjaam-kaar = consequently,
No comments:
Post a Comment