Thursday, June 14, 2018

Sharmindagi Hai Hum Ko Bahut Hum Mile Tumhein

Sharmindagi hai hum ko bahut hum mile tumhein,
Tum sar-ba-sar khushi the magar ghum mile tumhein..

Nain apne aap mein na mila is ka ghum nahin,
Ghum to ye hai ke tum bhi bahut kam mile tumhein..

Hai jo humara ek hisaab us hisaab se,
Aati hai hum ko sharm ke paiham mile tumhein..

Tum ko jahaan-e-shauq-o-tamanna mein kya mila,
Hum bhi mile to darham o barham mile tumhein..

Ab apne taur hi mein nahin tum so kaash ke,
Khud mein khud apna taur koi dam mile tumhein..

Is shahr-e-heela-ju mein jo mahram mile mujhe,
Fariyaad jaan-e-jaan wahi mahram mile tumhein..

Deta hun tum ko khushki-e-mizhgaa'n ki main dua,
Matlab ye hai ke daaman-e-pur-nam mile tumhein..

Nain un mein aaj tak kabhi paaya nahin gaya,
Jaanaa jo mere shauq ke aalam mile tumhein..

Tum ne humare dil mein bahut din safar kiya,
Sharminda hain ke us mein bahut kham mile tumhein..

Yoon ho ke aur hi koi hawwa mile mujhe, 
Ho yoon ke aur hi koi aadam mile tumhein.!!

"Jaun Eliya"
__________

Shahr-e-heela-ju = city of those searching for excuses,
Khushki-e-mizhgaa'n = dryness of eye lashes,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...