Shaakh-e-ummid jal gayi hogi,
Dil ki haalat sambhal gayi hogi..
'Jaun' us aan tak ba-khair hun main,
Zindagi daaw chal gayi hogi..
Ek jahannum hai mera seena bhi,
Aarzu kab ki gal gayi hogi..
Sozish-e-partaw-e-nigaah na poochh,
Mardumak to pighal gayi hogi..
Hum ne dekhe the khwab shoalo'n ke,
Neend aankhon mein jal gayi hogi..
Us ne mayoos kar diya hoga,
Phaans dil se nikal gayi hogi..
Ab to dil hi badal gaya, ab to,
Saari duniya badal gayi hogi..
Dil gali mein raqeeb dil ka juloos,
Waan to talwaar chal gayi hogi..
Ghar se jis roz main chala hunga,
Dil ki dilli machal gayi hogi..
Dhoop yaani ke zard zard ek dhoop,
Laal qile se dhhal gayi hogi..
Hijr-e-hiddat mein yaad ki khushbu,
Ek pankha sa jhal gayi hogi..
Aai thi mauj-e-sabz-e-baad-e-shimaal,
Yaad ki shaakh phal gayi hogi..
Wo dam-e-subah ghusl-khaane mein,
Mere pahlu se shal gayi hogi..
Shaam-e-subah-e-firaaq daayem hai,
Ab tabiyat bahal gayi hogi.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment