Wednesday, June 20, 2018

Roz Khwabon Mein Naye Rang Bhara Karta Tha

Roz khwabon mein naye rang bhara karta tha..
Kaun tha jo meri aankhon mein raha karta tha.!

Ungliyan kaat ke wo apne lahu se aksar..
Phool patton pe mera naam likha karta tha.!

Kaisa qaatil tha jo haathon mein liye tha khanjar..
Chupke chupke mere jeene ki dua karta tha.!

Haye qismat ke yahi chhorh ke jaane waala..
Umr bhar saath nibahenge kaha karta tha.!

Phool sa jism sulagte hue sandal ki tarah.. 
Dil ke mandir mein sar-e-shaam jala karta tha.!

Wo jo ek lamha kisi yaad mein kat ta tha 'Nazeer',
Dil ke jalte hue shoalon ko hawa karta tha.!!

"Nazeer Baaqri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...