Main ek qarz hun sar se utaar de mujh ko,
Laga ke daanw pe ek roz haar de mujh ko..
Bikhar chuka hun ghum-e-zindagi ke shaano'n par,
Ab apni zulf ki surat sanwaar de mujh ko..
Hazaar chehre ubharte hain mujh mein tere siwa,
Main aaina hun to gard-o-ghubaar de mujh ko..
Kisi ne haath badhaya hai dosti ke liye,
Phir ek baar khuda aitibaar de mujh ko..
Main bhook pyaas ke sahra mein ab bhi zinda hun,
Jawaharaat ki kirno'n se maar de mujh ko.!!
"Nazeer Baaqri"
No comments:
Post a Comment