Sunday, July 1, 2018

Mujh Ko Charaagh-e-shaam Ki Surat Jala Ke Dekh

Mujh ko charaagh-e-shaam ki surat jala ke dekh,
Aaye andheri raat mujhe aazma ke dekh...

Maujein kabhi to haarengi tere yaqeen se,
Saahil pe roz ek gharaunda bana ke dekh... 

Tooti hui munder pe chhota sa ek charaagh,
Mausam se kah raha hai ke aandhi chura ke dekh...

Maana ke main hazaar faseelon mein qaid hun,
Lekin kabhi khuloos se mujh ko bula ke dekh.!!

"Naseem Nikhat"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...