Naya ek rishta paida kyun karen hum,
Bichhadna hai to jhagda kyun karen hum..
Khamoshi se ada ho rasm-e-doori,
Koi hangama barpa kyun karen hum..
Ye kaafi hai ke hum dushman nahin hain,
Wafa-daari ka daawa kyun karen hum..
Wafa ikhlaas qurbaani mohabbat,
Ab in lafzon ka peechha kyun karen hum..
Humari hi tamanna kyun karo tum,
Tumhaari hi tamanna kyun karen hum..
Kiya tha ahd jab lamhon mein hum ne,
To saari umr ifa kyun karen hum..
Nahin duniya ko jab parwa humari,
To phir duniya ki parwa kyun karen hum..
Ye basti hai musalmanon ki basti,
Yahaan kaar-e-masiha kyun karen hum.!!
"Jaun Eliya"
__________
Ifa = fulfilment, observance,
No comments:
Post a Comment