Wednesday, June 13, 2018

Rooh Pyaasi Kahaan Se Aati Hai

Rooh pyaasi kahaan se aati hai,
Ye udaasi kahaan se aati hai..

Hai wo yak-sar supurdagi to bhala,
Bad-hawaasi kahaan se aati hai.. 

Wo hum-aghosh hai to phir dil mein,
Na-shanaasi kahaan se aati hai..

Ek zindaan-e-be-dili aur shaam,
Ye saba si kahaan se aati hai..

Tu hai pahlu mein phir teri khushbu,
Ho ke baasi kahaan se aati hai..

Dil hai shab-sokhta siwaye ummid,
Tu nida si kahaan se aati hai..

Main hun tujh mein aur aas hun teri,
To niraasi kahaan se aati hai.!!

"Jaun Eliya"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...