Nahin nibaahi khushi se ghumi ko chhorh diya,
Tumhaare baad bhi main ne kai ko chhorh diya..
Hon jo bhi jaan ki jaan wo gumaan hote hain,
Sabhi the jaan ki jaan aur sabhi ko chhorh diya..
Shaoor ek shaoor-e-fareb hai so to hai,
Gharaz ke aagahi na-agahi ko chhorh diya..
Khyaal-o-khwab ki andeshgi ke sukh jhele,
Khyaal-o-khwab ki andeshgi ko chhorh diya.!!
"Jaun Eliya"
No comments:
Post a Comment