Wednesday, June 13, 2018

Na Hua Naseeb Qaraar-e-jaan Hawas-e-qaraar Bhi Ab Nahin

Na hua naseeb qaraar-e-jaan hawas-e-qaraar bhi ab nahin,

Tera intizaar bahut kiya tera intizaar bhi ab nahin..

Tujhe kya khabar maah-o-saal ne humein kaise zakhm diye yahaan,

Teri yaadgar thi ek khalish teri yaadgar bhi ab nahin..

Na gile rahe na gumaan rahe na guzarishein hain na guftugu,

Wo nishaat-e-waada-e-wasl kya humein aitibaar bhi ab nahin..

Rahe naam-e-rishta-e-raftgaa'n na shikayatein hain na shokhiyan, 

Koi uzr-khwaah to ab kahaan koi uzr-daar bhi ab nahin..

Kise nazr dein dil-o-jaan baham ke nahin wo kaakul-e-kham-ba-kham,

Kise har-nafas ka hisaab dein ke shamim-e-yaar bhi ab nahin..

Wo hujoom-e-dil-zadgaa'n ke tha tujhe muzhda ho ke bikhar gaya,

Tere aastane ki khair ho sar-e-raah-e-ghubaar bhi ab nahin..

Wo jo apni jaan se guzar gaye unhein kya khabar hai ke shahar mein,

Kisi jaan-nisaar ka zikr kya koi sogwaar bhi ab nahin..

Nahin ab to ahl-e-junoon mein bhi wo jo shauq-e-shahar mein aam tha..

Wo jo rang tha kabhi ku-ba-ku sar-e-ku-e-yaar bhi ab nahin.!!

"Jaun Eliya"
__________

Uzr-khwaah = apologising, apologist,
Baham = along with,
Kaakul-e-kham-ba-kham = curl by curl of hair,
Hujoom-e-dil-zadgaa'n = gathering/ crowd of heart victims,
Muzhda = good news, good tidings,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...