Maskan-e-maah-o-saal chhorh gaya,
Dil ko us ka khyaal chhorh gaya..
Taaza-dam jism-o-jaan the furqat mein,
Wasl us ka nidhaal chhorh gaya..
Ahd-e-maazi jo tha ajab pur-haal,
Ek veeran haal chhorh gaya..
Jhaala-baari ke marhalo'n ka safar,
Qaafile payemaal chhorh gaya..
Dil ko ab ye bhi yaad ho ke na ho,
Kaun tha kya malaal chhorh gaya..
Main bhi ab khd se hun jawaab-talab,
Wo mujhe be-sawaal chhorh gaya.!!
"Jaun Eliya"
__________
Maskan-e-maah-o-saal = dwelling of months and years,
No comments:
Post a Comment