Wednesday, June 6, 2018

Mujhe Na Dekho Mere Jism Ka Dhuaan Dekho

Mujhe na dekho mere jism ka dhuaan dekho,
Jala hai kaise ye aabaad sa makaan dekho...

Na chaat jaaye kadi dhoop surkhiyan lab ki,
Shajar ki chhaanw kisi ghar ka sayebaan dekho...

Mohabbaton ki tasalli bahut zaroori hai,
Sitam ke shahar mein ek yaar mehrbaan dekho...

Koi bharosa nahin abr ke barasne ka,
Badhegi pyaas ki shiddat na aasmaan dekho...

Tumhaara waqt nahin sach ke bolne waalo,
Na chup rahoge to kat jaayegi zabaan dekho...

Koi haseen abhi raaste se guzra hai,
Lagao aankh se qadmon ke jo nishaan dekho...

Hunar to roz hi bikta hai chand sikkon mein,
Khareed le na zamana tumhein amaa'n dekho...

Nahin hai tum mein saleeqa jo ghar banane ka,
To 'Ashk' jaao parindon ke aashiyan dekho.!!

"Ibrahim Ashk"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...