Wednesday, June 6, 2018

Na Ku-e-yaar Mein Thehra Na Anjuman Mein Raha

Na ku-e-yaar mein thehra na anjuman mein raha,
Ada-e-naaz se ye dil sara-e-fan mein raha.. 

Hazaron tufaan uthaye hain waqt aane par,
Lahu bhi khaas ada se mere badan mein raha..

Main ek rang tha rang-e-khyaal-e-aawaara,
Kisi dhanak mein kisi rut ke pairahan mein raha..

Ana hi thi ke na jhukne diya kabhi mujh ko,
Pahaad sar pe utha kar bhi baankpan mein raha..

Wo main hi tha ke koi aur tha nahin maloom,
Tamaam umr jo mere hi jaan o tan mein raha..

Safeer-e-jaan ke liye manzilein nahin hotin,
Koi padao bhi aaya to wo thakan mein raha..

Uthi jo saif-e-sitam be-niyaz-e-maut-o-hayat,
Qalam-ba-dast khada waadi-e-sukhan mein raha.!!

"Ibrahim Ashk"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...