Mohabbaton mein jo mit mit ke shahkaar hua,
Wo shakhs kitna zamane mein yaadgaar hua..
Teri hi aas mein guzre hain dhoop chhaanw se hum,
Teri hi pyaas mein sahra bhi khush-gawaar hua..
Na jaane kitni bahaaron ki de gaya khushbu,
Wo ek badan jo humare gale ka haar hua..
Tumhaare baad to har ek qadam hai ban-baas,
Humara shahar ke logon mein kab shumaar hua..
Khud apne aap se lena tha intiqaam mujhe,
Main apne haath ke patthar se sangsaar hua..
Ye ek jaan bhi leta hai 'Ashk' qiston mein,
Zara sa kaam bhi us se na ek baar hua.!!
"Ibrahim Ashk"
No comments:
Post a Comment