Lutf ki un se iltija na karein,
Hum ne aisa kabhi kiya na karein..
Mil rahega jo un se milna hai,
Lab ko sharminda-e-dua na karein..
Sabr mushkil hai aarzu bekaar,
Kya karein aashiqi mein kya na karein..
Maslak-e-ishq mein hai fikr haraam,
Dil ko tadbeer-aashna na karein..
Bhool hi jaayein hum ko ye to na ho,
Log mere liye dua na karein..
Marzi-e-yaar ke khilaaf na ho,
Kaun kahta hai wo jafa na karein..
Shauq un ka so mit chuka 'Hasrat'
Kya karein hum agar wafa na karein.!!
"Hasrat Mohani"
No comments:
Post a Comment