Kya tum ko ilaaj-e-dil-e-shaida nahin aata,
Aata hai par is tarah ke goya nahin aata..
Ho jaati thi taskeen so ab fart-e-alam se,
Is baat ko rote hain ke rona nahin aata..
Tum ho ke tumhein waada-wafaai ki nahin khu,
Main hun ke mujhe tum se taqaaza nahin aata..
Hai paas ye kis ki nigaah-e-mahw-e-haya ka,
Lab tak jo mere harf-e-tamanna nahin aata..
Un ki nigaah-e-mast ke jalwe hain nazar mein,
Bhoole se bhi zikr-e-may-o-meena nahin aata..
Shokhi se wo maana-e-sitam poochh rahe hain,
Ab lafz-e-jafa bhi unhein goya nahin aata..
Main dard ki lazzat se raza-mand hun 'Hasrat',
Mujh ko sitam-e-yaar ka shikwa nahin aata.!!
"Hasrat Mohani"
__________
Fart-e-alam = excess of grief, Nigaah-e-mahw-e-haya = shy glance,
Maana-e-sitam = obstacle to tyranny,
No comments:
Post a Comment