Thursday, June 7, 2018

Kyun Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyun Dard Ke Rone Rota Hai

Kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai,
Ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hota hai..

Aaghaaz-e-musibat hota hai apne hi dil ki shaamat se,
Aankhon mein phool khilata hai talwon mein kaante bota hai..

Ahbaab ka shikwa kya kijiye khud zaahir o baatin ek nahin,
Lab upar upar hanste hain dil andar andar rota hai..

Mallaahon ko ilzaam na do tum saahil waale kya jaano,
Ye tufaan kaun uthata hai ye kashti kaun dubota hai..

Kya jaaniye ye kya khoyega kya jaaniye ye kya payega,
Mandir ka pujaari jaagta hai masjid ka namaazi sota hai..

Khairaat ki jannat thukra de hai shaan yahi khuddaari ki,
Jannat se nikala tha jis ko tu us aadam ka pota hai.!!

"Hafeez Jalandhari"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...